Friday, 8 March 2013

har shaksh mera saath nibha bhi nahin saktaa



samunder ko kya dukh hai bataa bhi nahin sakta,

 aankhn mai aansuu laa bhi nahin sakta,

 tu saath chhodkar jaa rahi hai mera kasoor nahin tera,

 har shaksh mera saath nibha bhi nahin saktaa

Wo Jab-Jab Soye Jameen Par


Kaash Mere Pyar Ka Ant Kuch is Kadar Ho,
Ki Meri Kabar Pe Bana UnKa Ghar Ho,
Wo Jab-Jab Soye Jameen Par,
Tab Tab Mere Seene Se Laga UnKa Sar Ho.

Chehre pe Humare Kafan Na Hota


Bahut Roye Wo Humare Pas Aake,
Jab Ehsaas Hua Unhe Apni galti Ka,
Chup karwa Dete Hum Agar,
Chehre pe Humare Kafan Na Hota.

Saturday, 2 March 2013

Jab us apno ki bevafai ka raaj khul jata hai



Chalte chalte yu bichrana bhi sahna parta hai
Ek apno ko dekhte dekhte hi khona  parta hai
Ek din ka fasla akser Zamane jaysa lagta hai "Anmol"
Jab us apno ki bevafai ka raaj khul jata hai

Mukdr se lad saku ye meri aukat nahi



Mukdr se lad saku ye meri aukat nahi,
Mai vo shakhs hu khuda jiske sath nahi,
Waqt ayega to keh denge khuda se,
Mera mukdr likhna tere bas ki baat nahi

aseem pyaar lekar aaye hain.



Aap meri jindagi mein khushiyon ki bahaar lekar aaye hain.
Jiske bina jhulas rahi thi meri rooh wo fuhaar lekar aaye hain.
Naseeb hota hai jo kisee kisee khushnaseeb ko,
Meri jindagee mein wo mahktaa aseem pyaar lekar aaye hain.