Saturday 25 August 2012

Woh phir se aaj jindgi se udas hai


Woh phir se aaj jindgi se udas hai
bata jindgi tu kya rang layegi
samajh na paya ham me se koi
to tum kya mujhe samajh payogi


apna banane me der lagti hai



Her Kisi ko apna banane me der lagti hai,


 Hame ek vada nibhane me der lagti hai,


 pyar to pal bhar me ho jata hai dosto


 magar us pyaar ko  bhulane me umar lagti hai






Hum vo SahiL Per Likhi Hui ibaarat Nahi






Hum vo  SahiL Per Likhi Hui  ibaarat Nahi jo in Lehron Se Mit jay


 Hum vo Barish Ki Barsti Bond  bhi Nahi jo ik bar Baras K Tham jay


 Hum ik sapna bhi Nahi jise Daikh Kar sab BhuLa De


 Hum Hawa Ka vo  jhonka bhi nahi Aya Aur aa ker Guzar jay


 “AnMoL”  Chand Nahi jo Raat K Bad DhauL Gaya




Pyaar Tumhara chalkta hai



DIL ke har kone me Pyaar Tumhara chalkta hai


 Jab bhi hum Tanha hoTay hai Yaad Tumhari aaTi hai


 Dikha kar sapne in aankhon ko De gay aansoon in mein Tum


Main Kaise chalka doo yeh aansoon In mein bhi To rehTay ho Tum


 Hum Ho gay Tumse juda KiTne badnaseeb hain hum


  humse Rootha aaj humara khuda KiTna fakeer hain “AnMoL”





agle pal meri umar hi na ho



Wo baat kya karu jiski khabar hi na ho,


wo dua kya karu jisme asar hi na ho.


Kaise keh du aap ko lag jaaye meri umar,

kya pata agle pal meri umar hi na ho



Wednesday 22 August 2012

dil torne wale kya jana



Pyaar ke dard ko dil torne wale kya jana,


Dilo ki rasmo ke yeh Duniya wale kya jane,


Hoti hai kitni takliff hame is kabar ke niche,


Is ke upar  phool chadhane wale kya jane.




Zinda rahe toh phir milenge


Logo ko aksar kehte suna hai:


“Zinda rahe toh phir milenge”
.

Magar m kahti hu “Anmol” jayse dost se mil ke


Aisa mayre dil ne mehsoos kiya hai ki,


“Aapse milte rahe toh Zinda Rahenge”.




Roti hui aankho se





Roti hui aankho se muskurane me maza kuch aur hai,


Aap ko Hasate hasate palke bhigone me maza kuch aur hai,


 Hum Baat khehe toh her  koi  samjh jay,


Hamari Khamoshi ko koi samjhe toh maza aur hai .





 

jindgi mein aa jate hai


Kuch dost aachank jindgi mein aa jate hai,


pehle dil me phir hamari zindagi se jud jate hain,


kehte hai hum uss daur ko dosti,


jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai



Ye Zindagi tumhare bin kaise kategi



Ye Zindagi tumhare bin kaise kategi dost


Ab to hame  soochne se bhi  darr lagta hai


Her Kushi aur sukun ka ristha hai tuje se,


Hame  phir bhi tum se  dil lagane se darr lagta hai




Khwab me aane se bhi baaz nahi aate


Hum se Juda ho ker bhi woh tarfane se baaz nai ate,


 Hum se alag ho ker  bhi who hamara dil jalane se baaz nahi ate,


 Who Khud toh so jate hai chain se magar,


Who hamare  Khwab me aane se bhi  baaz nahi aate




Her Lamha ye Waqt Guzer Jayega


Hamare Paas Aakar hum se Sabhi Door Chale Jaate Hain


 Hum Akele They or fir se Akele Hi Reh Jaate Hain




Her Lamha ye  Waqt Guzer Jayega


 Chand Lamhon Main hum se Daman Chot Jayega



Apni hatheli per Likh kar un ka naam


Apni hatheli per Likh kar  un ka  naam hamesha


 phir us naam ko Hatheli se  mitaya karti thi


 shayad naasamajh thi woh


 Apne dil par likha hai jo us ne kisi ka nam


Bhala koi kayse use Apne haathon se mita sakta hai



Aysi ek ladki thi woh


Hum ne her baar dekha use phulon se baatein karte


Woh kuch kehti hai  unke kaano mein


Or fir khud hi sharmaaya karti hai un se


 Aysi  ek ladki thi woh


 phulon se bhi sharmaaya karti thi woh




Woh kaisi naadan ladki thi


Woh Aksar banati rahti hai ret ke mehal saahilon par


 phir un mehalon mein ghar apna basaya karti thi


Woh kaisi naadan ladki thi


 saahil ki mitti se ghar banaya karti thi





Woh ik chehra banakar khayalon mein


Woh ik chehra banakar khayalon mein


 phir us chehre ko duniya me dhoonda karti thi


 kaisi paagal ladki hai kuch samjh na pay hum


 ek hakikat ko sapno me dhunda karti thi



Ek pyaar se bhara dil dekha


Hum ne Ek pyaar se bhara dil dekha


 Hum ne us ke armaano ko palko par sajte huy dekha


 Woh bari pyaari masoom si ladki thi


Kisi ke mohabbat ke khwaab dekha karti thi



Ankho se ansu nikal jaye to gum nahi


Ankho se ansu nikal jaye to gum nahi ,


 per tere udass hone se darr lagta hai


Iss wafa ko kaal shayad nibha pay ya nahi,


 per tere tut janne se hame darr lagta hai




kaash ye yaadein bhi beh jati


Hamare aasoun ke saath kaash ye yaadein bhi beh jati


 Hamari ye khamosi sab kuch byan ker jati


Hamri ye kismat unho ne  likhi hoti to


to shayad aaj meri kismat me pyar ki kami na hoti




Agar apsa dost hamara na hota



zin
dgi ka koi ehsas itna pyara na hota


Agr apki yaado ka sahara na hota



Hum khud ko khushnasib kah nhi pate



Agar apsa dost hamara na hota


sapne mein ek ladki aati hai



Neend aati hai to sapne aati hai


 sapne mein ek ladki aati hai


 ladki ke piche uska baap aata hai


 phir na neend aati hai na sapna aata hai.





Madhosh aankho se


Madhosh aankho se jab wo hamein dekhte hain


 hum ghabraakar apni ankhen jhuka leite hain


 kaun milaye un ki unn ankhon se ankhen


 suna hai wo ankho se apna bana leite hai.






khud ko mehfooz maante hain


Hum apni is dosti mein khud ko mehfooz maante hain


 Hum doston mein tumhe sabse azeez maante hain


 Tumari dosti ke saaye mein hum zinda hain


 Hum to tujhe khuda ka diya hua dusra rup mante hain…




Dost sache agar sath ho to roya nahi karte


Jo sab ke dil ke karib hi nahi saanso me bhi base ho


 Dost sache agar sath ho to roya nahi karte


 Jo ho sab ke jeene ki wajah vo har pal yaad aate hai


 Gum me bhi jo sukun de ese doston ko khoya nahi karte…






intzaar ki lakeer chod jaayenge


Hum Dil me tumhaare apne pyaar ki kami chod jaayenge


Tumari in Aakhon me intzaar ki lakeer chod jaayenge


Tum  Yaad rakhna hame dhoondhte firoge ek din


 Zindagi me dosti ki ik kahaani chod jaayenge



happy frendship de

Humaap ke paas rhen yaa dur


hm dil se dil ki aavaaj ko milaa skte hain,


hum na SMS ke na phone ke mohtaaj hain


hm to aapke dil ko hichki se hilaa skte hain


e veri happy frendship de




itihaas kaa pnnaa nhinhai dosto


Ye dosti kisi itihaas kaa pnnaa nhinhai dosto

Or na  hi ye ganit yaa kisi kalcher ki bhasha hai

 koi bhasha nhi, jise yaad kr sake ye to camistry hai

Ese to do insaano ke dil hi smjh sktay hai






phool ki tarh hota hai


Ik aacha dost ek phool ki tarh hota hai
jise hum chod bhi nhi skte aur torh bhi nhi skte
in ko tor diya to murjha jaaengae
 aur in ko chod diyaa to koi aur le jaaegaaa’




Us ki is pyari se dosti me ek nasha hai


Us ki is pyari se dosti me ek nasha hai

 Tabhi hum se  yeh saari duniya  khafa hai


 Tum na karo pyaar  hamse itni sari dosti,


 Ki dil hi hamara puchay teri dhadkan kahan hai






Tum ne jab hum se Mohabbat ka iqrara kiya

Tum ne jab hum se Mohabbat ka iqrara kiya
Mayri in Dharkano Mein Naya Rang aa gaya
Hum se itna pyaar karte ho tum magar
Aaj Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo




to bhi hum Jee lete hai


Hame koi kahe bura to bhi hum Jee lete hai


 Hum dua dekar uske honton ko see lete hai


Hamare dil me Dard ho chahe kitna bhi


 Zehar ka ye pyala chupke se pee lete hai




Tum se bicher ker aacha nahi lagta











 
Tum se bicher ker aacha nahi lagta ,

faslon me rahna aacha nahi lagta ,

Hum tume her pal yaad karte hai ,

Mager bar-bar bhi to yah kahna aacha nahi lagta 






Tumhari yaad kitna dard deti hai


Ye Dil kahta hain hum ko pathar pe likhu i miss you

Or fir wo pathar tumhare ser pe de maru

Taki tum ko bhi pata chale ki

Hame Tumhari yaad kitna dard deti hai




yad ker ke rovo ge mujhe

Kal jab hum mile ge nahi to yad ker ke rovo ge mujhe
vo bete pal vo biti bate sab yad aay ge tume
per ik din aysa aay ga jab sab kuch bhul jao ge
Na "AnMoL" yad aay ga na us ke bat yad aay gi




Monday 20 August 2012

Sab se Aage jaaye mera hindhustan


 Sab se Aage jaaye mera hindhustan
 nit sab ke dilo me muskaaye mera hindhustan
 Itihaas mein badh chadh kar sab se uper
 naam likhaaye mera hindhustan



Phoolon wala mere hindhustan


 Phoolon wala mere hindhustan
 jhoolon waala mera hindhustan
 Ganga-Yamuna ki maala kayah hindhustan
 Gurujano ki sevva karne wala mera hindhustan



Sone ki chidiya mera hindhustan


 Sone ki chidiya mera hindhustan
 safal salona mera hindhustan
 Suraj jaisa alokit mera hindhustan
 sukh ka kona mera hindhustan



Kitna sunder mayra Hindustan


Kitna sunder mayra Hindustan

Kitna manmohak mera hindhustan 

Yah Duniya jis par shan se garv kare

 nayan-sitara mera Hindhustan


Saturday 18 August 2012

Pyaar karne wale beach majhdar me hi chod gaye


Pyaar karne wale beach majhdar me hi chod gaye 

   Hame Apna banane vale Tanha hi Chod Gaye


      Jab Padi Jarurat Hume Apne Humsafar Ki jis waqt 


           Us waqt  Saath Chalne Vale “AnMoL”se Apna Rasta Mod Gaye





                

Pyaar Ka Safar Toh Ek pyaara Safar Hai

                                  Pyaar Ka Safar Toh Ek pyaara Safar Hai
                                    Her pyaar Ko Kisi Na Kisi pyaar Ki Talash Hai
                                      Kisi Ke Pass Manzil Hai Toh Raah Nahi hai
                                        Aur Kisi Ke Pass Rah Hai Toh Manzil Nahi hai



                       

Log is Zindagi Main Aatey Hai

Bharossa de ker Log is Zindagi Main Aatey Hai
 Khwab de ker in Aankhon Main Samaa Jaatey Hai
 Pehle to itna Yakeen Dilate Hai Ki Woh Hamare Hai
 Phir Na Jaane Kyu dil ko tor Jaatey Hai




Hum Roye Buhat tabja ker is dil ko Karaar Mila Hai



Hum Roye Buhat tabja ker is dil ko Karaar Mila Hai
 Is duniya Mein Bhala kise Sacha Pyaar Mila Hai
Ab to Guzar Rahi Hai hamari jindgi ik Imtehan Ke Daur Se
 Ek fasana Khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai mout I taraf

Ye hamara Dil Chahta Hai Tumse Pyari si Baate Ho


Ye hamara Dil Chahta Hai Tumse Pyari si Baate Ho
 Khamosh bante hon or ik Lambi si Raat Ho
 Fir us rat me Unse Raat Bhar pyaar bhari Baate Ho
 Ki Tum Meri Jindgi Ho,Tum Hi Meri Kaynaat Ho

Ye Zindagi Hai Nadan bari Isiliye












 

Ye Zindagi Hai Nadan bari Isiliye Chup Hoon main
Ye  Hothkuch Keh Nahi Sakte Jo Fasana is Dil Ka
 Shayad in Nazron Se hi kuch Baat Ho Jaye
Hum Is Ummid Se Karte Hain bus Intezar Raat Ka
 Ke Shayad Sapne Me hi unse Mullakat Ho Jaye