Tuesday 31 December 2013

sab ko shubh kamnaye baysumar

Naye saal pe ho hum sab ken aye vichar ,
Un bato ka prank are jin se ho udhar .
Beete sal me hui jo bhule un me ho sudhar ,
Chetna gyan va sukaram ka rakhe naya aadhar .
Naye saal ke aagan me ho hara bhara pyaar ,
Shuru aaj se hi kare hum jeevan ka neesar .
De rahe h ji shubhkamnaye aur jo pyaar ,
Inko kayam rakhna hi hai in ka shingar  .
Naye saal ke aaene me naye hi ho vichar ,
Bane chand dua ke taron me to hum hi honge udhar .
Mangalmay se sab kare  naye saal ko pyaar ,
“ANMOL” ki aur se sab ko shubh kamnaye baysumar .


Nav varsh mubark

Nav varsh mubark
Ho nav varsh mubark tumhein ,
Mile sare janha ka pyaar tumhein ,
Tum jiwan mein khushhal raho ,
Sukhi jiwan hazaro saal jeeo .
Mat chodna damn sadachari ka ,
Tum banna sahara lachari ka ,
Mn mein na kabhi ghrina basana ,
Sab ke prti apna pyaar jatana .
Tuhmara damn khusiyo se bhara rahe ,
Pyaar hamara sardiyo tk bana rahe ,
Dukho se na kabhi tum ghbrana ,
Andhkar ka bhi tum sath nabhana .
Kum ho tumare jiwan mein dukh ,
Mil jayein tume mere bhi sukh ,
Yahi tamnna hai “ANMOL” ki ,
Khusyioin se bhari ho ye sal tayri .

Sunday 8 December 2013

bayvafa ka parvana ho gaya

Tere ishq ne hum per  esa  jadu kiya hai ,
Hum tere pyar ke divane ho gaye ,
Tere pyar ka hum ne mahel bana diya ,
Jis ke her jagah afsane  ban gaye   ,
Per tune hamare pyar ko thukra diya ,
Hum kyo tere leyain baygane ho gaye ,
Oh bayvafa javab de is bat ka ,
“Anmol” kyo bayvafa ka parvana ho gaya .


dard ke kabil bana liya

Jis gum ne jindgi ko muskil bana diya
Hum ne usi ko mout ka sahil bana diya
Her gum ko can mar ker sone ki koshish ki
Her pal unhone neend ka katil bana diya .
Dared jigar ne bhi hamein kabhi kabil na samjha
Hum ne hi khud ko dard ke kabil bana liya
Behtr hai bin kheveya neeyain ka dub jana

Yahi soch ker mjhdar ko manjil bana liya