Friday 18 July 2014

Us gali ka who muhana chahiy

Mujh ko to tumara gujra jamana chahiy ,
Tumara fir vohi bachpan suhana chahiy ,
Jis jagah un se mila mein pahli dafa
Us gali ka who muhana chahiy

Thursday 17 July 2014

mahndi rachane ja rahi ho



tum apne hatho per kisi or ke
 nam ki mahndi rachane ja rahi ho
in surak lal rango se tum
apne hatho ki lakire chupane ja rahi ho

Monday 14 July 2014

Tayri vafa ka atbar hame aaj bhi hai




Kasam khuda ki hame tum se pyar aaj bhi hai ,
Who pyar ki taraf baykarar aaj bhi hai ,
Mayri vafa ka atbar tumhe ho ke na ho ,
Tayri vafa ka atbar hame aaj bhi hai .

Saturday 12 July 2014

Rakhi bandwa le mere veer

Rakhi bandwa le mere veer


rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer ,
dekhne ko yah kachcha dhaga ,
per risto ki hai janjeer .
sunder mukhra sunder rakhi ,
sunder tayri kalayi ,
bahna mange tayri sada duwayein ,
jug-jug jeey mayra bhai .
sada rahe khus tu bhaeya ,
jage tayri takdir ,
rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer .
na koi vada lun tug se ,
na koi kasmein ,
mathe per tilak laga ker ,
ker luin puri rasmein .
bhai ke bina koi na jane ,
is bahna ki peer ,
rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer  .
desh ki raksha ker rahe hai kuch bhai ,
bahno se hai dur ,
dak se bayji rakhi sab ne ,
milne se majbur .
desh ki laaz hai un ke hatho ,
sarhado ki shamseer , 
rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer .

Zakham Dene Ka Andaz Kuch Aisa Hai



Zakham Dene Ka Andaz Kuch Aisa Hai
Zakham Dekar Kahte Hain Ab Hal Kaisa Hai
Zehar Dekar Kahte Hai Ab Pina Hi Hoga
Aur Jab Pi Liya To Kahte Hain Jina Hi Hoga

Yehi Hai Dosto Pyar Ki Kahani
Haste Haste Phir Rona Hi Hoga

Monday 7 July 2014

dudh ke rate badhay hai

Hamare dudh wale ne
dudh ka rate do rupaya
parti kilo bhadha ker bataya
to hum ne us se pucha , bhai !
Aachank itni mahngai
kaha se aai ?????????????
Vah bola sahab
do din se nal nahi aay hai
is ley dudh ke rate badhay hai