Saturday, 12 July 2014

Rakhi bandwa le mere veer

Rakhi bandwa le mere veer


rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer ,
dekhne ko yah kachcha dhaga ,
per risto ki hai janjeer .
sunder mukhra sunder rakhi ,
sunder tayri kalayi ,
bahna mange tayri sada duwayein ,
jug-jug jeey mayra bhai .
sada rahe khus tu bhaeya ,
jage tayri takdir ,
rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer .
na koi vada lun tug se ,
na koi kasmein ,
mathe per tilak laga ker ,
ker luin puri rasmein .
bhai ke bina koi na jane ,
is bahna ki peer ,
rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer  .
desh ki raksha ker rahe hai kuch bhai ,
bahno se hai dur ,
dak se bayji rakhi sab ne ,
milne se majbur .
desh ki laaz hai un ke hatho ,
sarhado ki shamseer , 
rakhi ka tyohar hai aaya ,
rakhi bandhwa le mere veer .

No comments:

Post a Comment